Ghuroob – e – Aaftab

doobta sooraj bhi kuch bayan karta hai
ek daastan unsuni, dheere se keh jaata hai
roz phir wahi baat dohrata hai
urooz par tha main, magar ab doob ke so jana hai……..

kal naya savera lekar main phir aaunga
ek nayi soch, ek naya kal banaoonga
firse kisi ko roshan karoonga, firse kisi ki aas banoonga
fir koi kali khilegi, fir koi phool banega
umeed ke saagar mein fir koi gote lagayega
firse fiza mein garmahat ayegi, firse zindagi saans legi

fir main har roz ki tarah guroob me chup jaoonga, ek naye savere ki umeed jagaoonga

doobta sooraj bhi kuch bayan karta hai
urooz par tha, magar ab doob ke so jana hai..
so jaana hai..so jaana hai….

-Faraz Ahmad

Khilaonon ka Sansaar

Ye sansaar bhi ajeeb hai, khilaonon ki bheed hai,
daulat hai shauhrat hai, gareebi hai imaandari hai,
tarasti hui nazaron mein har cheez ki khwahish hai,
jahan nahin hain wahan barbadi hai,
fizool ki arzoo hai, uspe barasta kuber hai,
ye sansaar bhi ajeeb hai, khilaonon ki bheed hai,

nazar jahan uthata hoon,
sirf ameeron ko pata hoon, chabhi bharte in khilaonon mein,
ghulamon ki in naslon mein jo rehte hain inke kadmon mein,
behaal magar khush-hal har lamha hai jinka,
kya samjhenge tarazoo, mol inka?

door kahin basar hai insaan ka,
kisi ki aarzo, kisi ke imaan ka,
suna hai jannat kehte hain us mukaam ko,
chorke chalte hain, chal wahan,
shayad mil jae woh sukoon woh araam,

tarasti hi hai har rooh jiske liye,
tarasta hai ameer bhi iske liye,
kya yeh bhi ek khwahish hai,
kya iski bhi koi keemat hai,

har vastavikta ko dekha hai maine,
hoga zaroor koi chacha-mama wahan,
reh jaega fir koi khilaona,
chala jaega fir koi chabhi wala…
ye sansaar bhi ajeeb hai, khilaonon ki bheed hai,
ye sansaar bhi ajeeb hai, khilaonon ki bheed hai…

-Faraz Ahmad

Zindagi

chand lamhon ka safar hai zindagi,
beet jaegi,
muskura kar kabhi,
kabhi aansoo baha kar,
beet jaegi…

jo hoga aakhirat mein tumhare saath..uski fikar karo,
uski fikar karo… woh naa beetegi,
yeh zindigi hai… khatm ho jaegi… mit jaegi,
chand lamhon ka safar hai zindagi, beet jaegi,
muskura kar kabhi, kabhi aansoo baha kar,
beet jaegi…

door nahin woh din jab hum fanaa ho jaenge,
raet ke mahal ki tarah samundar mein mil jaenge,
reh jaegi to bus rooh apni,
sab naesto-naabood ho jaenge…

chand lamhon ka safar hai zindagi,
beet jaegi,
muskura kar kabhi, kabhi aansoo baha kar,
beet jaegi…

-Faraz Ahmad

Na jaane Kyon

Behek raha har insaan,
na jaane kyoon,
Beh raha lal lohoo,
na jaane kyoon,
Bandooken hathon mein hain,
na jaane kyoon,
Bal peshaaniyon par hain,
na jaane kyoon,
Fasaad lab par hai,
na jaane kyoon,
Haivaniyat Iradon mein hai,
na jaane kyoon,
koi insaan nahin,
na jaane kyoon,
zameer zinda nahin,
na jaane kyoon,
badal raha waqt,
na jaane kyoon,
uth rahi hain cheekhen har or se,
sukoon ka zariya nazar nahin aata,
sun nahin raha.. chup kai khuda bhi,
na jaane kyoon na jaane kyoon najaane kyoon…

-Faraz Ahmad